Published Oct 28, 2020
3 mins read
613 words
This blog has been marked as read.
Read more
Fun Facts
Academics and Education
My Diary (or) Journal

9Th To 12Th Way

Published Oct 28, 2020
3 mins read
613 words

Jab maine 8th ke exam diye tab hi maa or papa ko bol dia tha aage ki study city se karni hai.maa papa bhi maan gaye city me padane ke leye.mai or mera bhai 8th tak ek hi class or ek hi school me thy.. city me jab admisson hua to class ek thi but inter college aagal thy . mai girl college me thi bhai boys college me..city me hi rehne ke liye rent par room lia or study start ho gayi..jab 1st time college gayi tab ek dar sa tha kuki city me aana jana bahut tha lekin village me bade hone ke karan city ke logo Milne me ek dar lagta tha. 1st time class me girls ne sport kiya kuch ko friend bhi bane lia.. friend ke sAth masti or padayi me sab kuch normal ho gaya 
Kuch time bad dar nikal gaya kuki mere jaisi bahut si girls village se aati thi..mere college ki teachers aachi to thi.lakin unko bcche ki parkh nahi thi. mai 9th pass ho gayi.10th me mere 80%marks aaye. 11th year bhi pass ho gayi...11th me aate aate mai city ki girls ke Sath thodi nalyk ban chuki thi.art wli mam'm ko bahut tang karti thi. Lekin un girls jaise college ka gola (collage nahi aakr ghumne jana) nahi mara..12th me kam college Jana hua.hindi ki teacher change kar di gayi. Aisi teacher ko rakha gya jo note karke laati or ham students ko bus bo hi note karwakr chali jaati thi.principal mam'm Se bolkar unko change karwaya..bo mam'm bahut gussa ho gayi thi mujhe se .kuch din class ki monitor bhi rahi. Kuch movement bahut yad aate hai sach hi kaha h kisi ne ""12th tak ki life hi masti ki life hoti h"".mai collage me sidhi and simple banker jati thi.kuki bahan 2 chhoti banakar Jana hota tha .Kabhi bhi city ki girls ko copy nahi kia..jo bhi fashion ki bo khud se jo aachi lagi bo hi ki..bahan jo students mam'm logo ka kaam kar dete thy bo unki najar me bahut achhe hoty thy lekin Maine study or apne friends group ke aalwa college ke andar or bhar koi bhi cheez par dhayn nhi dia.12th ke exam hone Se phele 12th and 11th year walo ki farewell party huyi us party me catwalk honi thi or kuch question puche jaane thy.maine bhi friends ke kehne par catwalk ki or 1st aayi .2 or girls thi 2nd and 3rd ...phir mam'm ne question puche jinka phele answer Maine dia or mera hi sunkar un girls ne...or students ki najar me or meri class teacher ki najar me mai miss. farewell huyi..lekin sath me jo ek girl thi uski class teacher bhi 2nd juge thi. Bo girl unka sab kaam kar deti thi. Jo ek class teacher ka hota hai.un mam'm ne us girl ko miss.farewell bana dia.ye mujhe or mere friends ko bahut bura laga..us din ek bàat smmjh aayi kuch ladies teacher bus apne kaam Se matlv rakhti h.bcche ki parkh unko nahi hoti...teacher ke aise behaviour se bcche me hinn thanking aa jati usko lagta bo study me aacha hai. Decieplan me bhi rahta tab bhi teacher ki najar me kuch nahi hai...but..... khud ki najar me acha hmsa bane rhna chahiye samne wala jaisa hai bo hame usi najar se Dkhega..usko safayi dene se acha hai apne lye or better bano kuki insan aisi thokaro se sikhta hai..thank you and be happy ☺.......*

9
1
sumeetvpawar 5/3/21, 5:12 PM
Nice

Candlemonk | Earn By Blogging | The Bloggers Social Network | Gamified Blogging Platform

Candlemonk is a reward-driven, gamified writing and blogging platform. Blog your ideas, thoughts, knowledge and stories. Candlemonk takes your words to a bigger audience around the globe, builds a follower base for you and aids in getting the recognition and appreciation you deserve. Monetize your words and earn from your passion to write.