Published Apr 24, 2021
3 mins read
546 words
This blog has been marked as read.
Read more
Spiritual

Life Story Of Bhishm Pitamah The Untold Story

Published Apr 24, 2021
3 mins read
546 words

Bhishma(devavrat)

 

Inke pita ka naam maharaj SHANTANU tha aur mata ka naam        GANGA tha.

Inke pitaji ne 2 shaadiya ki thi ganga aur satyavati se.

Inke ICCHA MRUTYU ka vardaan apne pita ne diya tha.

Satyavati ke putra ka naam VICHITRAVIRYA tha.

Jab satyavati ko aisa laga ke hastinapur ka pura rajya bhishm hi le lega to unhone maharaj shantanu se ladai ki aur bhishm se ye vachan liya ke jab tak wo jee rahe hai hastinapur ka raja na bante hue sevak banke  seva karenge.

Vichitravirya ke 3 bete   the dhrutrashtra,pandu aur vidhur.

Yudhistir kaurwo ke pita hue aur adharm ko swikaar kiya.

Aur na chahte hue bhi bhishm ko unka saath dena pada.

Jab mahabharat ka yuddha chal raha tha to wo mann se pandavo ke saath the lekin apne vachan ke kaaran unke saaƄh na reh sake.

Yuddh k 4 din jab bhishm ke haath me yudhistir(pandavo ka sabse bada bhai) tha to wo use maar sakte the lekin unhone use nahi maara.

Yeh dekh kar DURYODHAN ne unpar rajdroh ka aarop lagaya.

Ispar wo bahot dukhi hue aur fir agle hi din se unhone pandavo ki sena ka naash chalu kar diya.

Keval 8 din me unhone   pandavo ki sena ko 7 se 2 akshayni sena hi rakhi baaki 5 ko maar giraya.

Lekin jab 10 ve din jb arjun ke saath yuddh kar rahe the to unhone apne aap ko sahi batane ki koshish ki jispe bhagwan shree krishna ko gussa aa gaya aur wo rath ka pahiya lekar unhe maarne lage.

Lekin arjun ne krishna se kaha ki aapne is yuddh me shashtra na uthane ki kasam khaayi thi.

Agar aap shashtra uthaoge to galat hoga.

 

Aur bhishm ko bhi ye baat pata thi ke uske mrutyu ka kaaran SHRIKHANDINI banegi.

Jab bhishm ne gaandhar ke swayamvar se gandhar  i ko jeet kar laaye.

To waha pe amba naamak ek aur rajkumari bhi thi jo uske premi se shaadi karna chahti thi jo ki usi swayamwar me maujud tha.

Lekin bhishm ne use maar diya tha.

To amba me bhishm se kaha ke agar tumne mujhe jeeta hai to mai tumse hi shaadi karungi.

Lekin bhishm ne mana kar diya q ki aajivan brahmchari tha.

Ispar amba ne parshuram ji se baat ki aur kaha ke aap ke shishya ne galat kiya hai aur aap ise saja de.

To ispar bhagwan parshuram ka bhishm ka yuddh hua.

Lekin waha shankar bhagwan prakat hue aur kaha ke tum agle janam me dhrupad ke yaha janam logi aur bhishm ki mrutyu ka kaaran banogi.

Uska naam SHRIKHANDINI tha.

 

Lekin mama shakuni ne chhal karke yuddh me naariyo ki entry hi band karwa di thi.

To shrikhandini ne saadhna se aashirwaad paaya ki wo ek din ke liye purush banegi.

Aur ye to bhishm ka prann tha ke jab bhi shrinkhandini uske saamne hogi wo apne shashtra tyaag kar dega.

Jab wo saamne aayi to bhishm ne apne shashtro ka tyaag kiya.

Fir arjun ne unhe baan saiyaan pe sulaaya.

To unhone kaha ke mai ye poora yuddh dekhunga aur fir aane wali UTTARAYAN par apne praan tyaag dunga.

 

Aur is prkaar maa mahim bhishm ki mrutyu hui..

 

Unke jeete hue pandavo ka jeetna namumkin tha..

Bhishm On Baan saiyaa
1

Candlemonk | Earn By Blogging | The Bloggers Social Network | Gamified Blogging Platform

Candlemonk is a reward-driven, gamified writing and blogging platform. Blog your ideas, thoughts, knowledge and stories. Candlemonk takes your words to a bigger audience around the globe, builds a follower base for you and aids in getting the recognition and appreciation you deserve. Monetize your words and earn from your passion to write.