Published Oct 26, 2020
3 mins read
550 words
This blog has been marked as read.
Read more
Gardening

Mango Trees

Published Oct 26, 2020
3 mins read
550 words

Ye baat 16 june 2020 ki h jb mai ek din apne papajii ke sath bank me apne kisi kaam se ja rha tha tab maine raaste me ek ped bechne bale byaktii ko dekha .uske paas aam ke kuch ped the or sath me or bhi kayii kism ke kayii ped the tb maine socha ki kyu na hamare paas bale khet me thodii si jagah me aam ke kuch ped laga diye jaaye maine aisa vichar karke apnii baat papajii se kahii . Merii baat ko sunkr papajii bhi mujhse sahmat ho gye or unhone usse baat kii hamarii baat  jb us ped bale se purii huyii tab hmne usse 10 ped aam ke kharied liye or ghr aakar hmne apne khet me unhe laga diya .maine kuch dino tk unkii subah sham dekhbhal kii jb mujhe unkii suraksha ki chinta huyii tab maine papajii se baat krke apne un pedon ke aas paas charo or taar laga diya jisse ki junglii janwaron se unkii suraksha ki ja sake . Maine unme nischit samay par khad lagayii or hamari mehnat rang laayii mere sabhii ped suraksha purbak lag gye the .maine unme panii ki roktham ke liye bhi apne paas me rhne bale chachajii ki madad se unke aas paas ek gol gadda bana diya jisse paanii ki roktham ped ke charo taraf ki ja sake . Jb main apne un pedon ke kaam se free hota tha tb mai apne ghr ke garden me lage pedon ki bhi saaf safayii kr deta tha dhire dhire maine apne ghr ke bahr bale aam ke pedon ke niche bhii saaf safayii kr lii us samay germii ka mousam tha or mere dwara mere aam ke pedon ke niche saaf safayii ho jaane se bahan log germii se paresaan hoakr uskii chaao me baithne aane lage sabhii log merii tarif karte or aapus me apne vicharon ko saajha  krte mai bhi ye sav dekhkr kafii khus tha.  germii ka ye mera  season bhi usii ped ke niche gujra tha maine aisa phle kabhii nhii kiya tha mai aisa batavaran dekhkr khud me aascharya chakit tha . Maine jb logon ko is tarah se aapus me baaten krte huye dekha tb mujhe ye ehsaas huya ki shaher me rhne baale byaktii ka bo AC room bhii hamare is ek aam ke ped ke saamne feeka h jis room me ek byaktii sirf khud or apne family ko hi adjest kr sakta h or akelepan ko mahsoos krta h usse kahin behtar gaao ka bo ek ped jahan pr log milkr apnii jindagii ke kuch lamhon ko sath baithkr bitate hn or apne vicharon ko saajha krte hn km se km bo is tarah se apne samaj ko samajhne me prayaasrat najar aate hn .mera ye maanana h ki pratiyek byaktii ko natural resources ka hi istemaal krna chahiye jahan tk bo hme available hn kyukii aisa krne se hm apnii Parakritii se jude rh sakte hn or hamara ye kartavya hona chahiye ki agr hm is planet pr kisi bhi tarah se avtarit huye hn to hame sirf apne jivan ko hi yahan nhii bitana h balkii hamarii aane balii pidiyon ke jivan ko bhii surakshit krna h or aisa hm tabhii kr sakte hn jb hm apne Parakritik resources ko bachane me safal honge . 

10
3
poonam.ajmani 10/27/20, 6:05 AM
1
Well expressed and taught about natural resources.
1
anu.ghosh 10/27/20, 6:11 AM
1
awesome w rite up.... check one my blogs too and follow me if you like them
1
abubin 10/28/20, 2:06 AM
Keep it up..

Candlemonk | Earn By Blogging | The Bloggers Social Network | Gamified Blogging Platform

Candlemonk is a reward-driven, gamified writing and blogging platform. Blog your ideas, thoughts, knowledge and stories. Candlemonk takes your words to a bigger audience around the globe, builds a follower base for you and aids in getting the recognition and appreciation you deserve. Monetize your words and earn from your passion to write.